Thursday, 2 March 2017

Main, is duniya ko apne nazariye se dekhta hun....

Main, 3 saal ka ek masoom bacha
Is duniya ko apne nazariye se dekhta hun
is rangeen jahaan mein
apni marzi se hasta, rota, khelta hun.

Pariyon ki kahaani sunta
kaalpanik duniya mein khwaab bunta
maut ki naa koi fikar
naa hi koi karta mujhse iska zikar.

Humein na hai is se koi dar
aae bhi to ud jaenge lagakar un pariyon ke par.

Baadlo ki saer karne ka sapna bhi hoga poora
abhi na hai samajh itni
ki humare bina ho jaega jeeva kisi ka adhoora.

Main, 16 saal ka naujavaan
is duniya ko apne nazariye se dekhta hun
duniya ki soch se hatkar
aage badhne ke naye-naye raaste dhoondhta hun.

Khwaabo ki motiyo ko
abhi to mujhe hakikat ki mala mein pirona hai
cheen na lena jeevan mera
abhi to mujhe aur jeena hai.

Abhi-abhi to aayi hai samajh
abhi-abhi to dikhe hain kuch sapne
reh gayi agar umar adhoori, dar hai
ki choot jaenge mere sabhi apne.


Main, 30 saal ka ek paripakva insaan
is duniya ko apne nazariye se dekhta hun
is kathinayion se bhare jeevan mein
apno ki khushi mein khud ko sukhi paata hun

Zimmedaariyon ka pul liye
kaam kiye jaata hun
ab aur sapne nhi dekhta
bas kisi ko na rahe koi kami, yahi dekhna chahta hun.

Apni maut se darta hun
apne lie nhi,
jinka jeevan mujhpe nirbhar hai
unhi ki fikar karta hun.


Main, 75 saal ka budha aadmi
is duniya ko apne nazariye se dekhta hun
apni seva sabko karta dekh
apne doosre bachpan ko mehsoos karta hun.

Ab na hai maut se koi dar
jee lie jitna jeena tha
jaate-jaate yahi kahunga dosto
ki marna bhi aapke jeevan ki maala ka hi ek nagina tha.

 

1 comment:

  1. This is just amazing...good to see budding talent in you girl..
    .. keep it up

    ReplyDelete